Sunday, October 24, 2010

15 september 2003 , train mein likhi ..kya dhondhne nikali hoon ?

Apni MA se door , apni BETI se door ..kya dhoondhne nikali hoon ?

is jag ki diwaron par chhitka hai rang begana sa ,
ek chhota sa aasma jo dil ki zami par basaya hai ,
uske saaye mein baith kar aksar khud se poochha karti hoon,

Apni MA se door , apni BETI se door ..kya dhoondhne nikali hoon ?

aansoon ki ladiya jo aankho ke raste bahar nahi ...
.chupchap mere chhote se aasma ko bheego kar dil ki zami par utarti hain,......unse bhi poochhti hoon ,

Apni MA se door , apni BETI se door ..kya dhoondhne nikali hoon ?

zindagi ki tarah anjaan raasto par bhaagti train se ,
kutch doodate to kutch peeche chhotate pedo so ,
naye raasto ka pataa poochti nazroon se ,
thehre huey chaand se to kabhi ugte huey suraj se ,
kabhi kotuhal kabhi nishchal ........kabhi bhedati to kabhi geedhh drishti se ,
kabhi raakh mein sulagti chingari se ...to kabhi ..lapto mein ghiri muskaan se .....poochha karti hoon ....

Apni MA se door , apni BETI se door ..kya dhoondhne nikali hoon ?

ek kiran mere chhote se aasma se nikali dil ki zami se aansuo ki ladiyo ko piroya ....maine usse bhi poochha....usne kaha ...

Tum dhoondhne nikali ho , apni Ma ke khawabo ki tadbeer aur bunne nikali ho apni bBeti ki Taqdeer |

No comments:

Post a Comment