Sunday, October 31, 2010

sawal

16 oct 2005

दर्द की क्यों हद नहीं होती ?
ख़ुशी की क्यूँ इन्तहा नहीं होती ?

सपनो को क्यों ज़मीन नहीं मिलती ?
यकीन को क्यों आसमा नहीं मिलता ?.

sangharsh aur sapna

sangharsh aur sapna ..................hota hai sirf apna .

Bus itna hi

25 may 2005

इतना ही चाहती हूँ ...........ख़ुशी में जी भर कर हंस लूं ,

इतना ही चाहती हूँ ..........गम में दिल खोल कर रो लूं .

sanyam ki shila

संयम की शिला बह गयी , विश्वास स्तम्भ ठह गया , आस्थायें हिल गयी .............

ये विवेक की नीव फिर क्यों दृढ़ सी खडी है ????

Phoolon sa bachpan

फूलों सा बचपन मिला , निश्चल उमंगें मिली और ..........ज़िन्दगी चलती रही ,
वक़्त से चुनौतिया मिली ,विश्वास को दरार मिली , भाव को घाव मिले और ......ज़िन्दगी चलती रही ,
स्नेह का सेतु मिला , यकीन को आसमा मिला , सपनो को ज़मीन और ..........ज़िन्दगी चलत i रही ,
आंसू को सीप मिली , दर्द को तस्कीन मिली , खावाहिशो को खुमार मिला और ...ज़िन्दगी चलती रही ....

Sunday, October 24, 2010

Kal shaam

kal shaam baramadeh ki seedhiyo par baithi ..ek khawab bun rahi thhi ,

pataa thha thagey bahut khoobsurat ..magar nazuk hain,
miley tab kafi uljhe huey thhey ,
bahut jatan se aahista aahista suljhaya thha ,
bunte bunte khawab har ek do salayi baad usse naap ...badhte dekh kar khush ho rahi thhi ,
fisal na jaye haath se thaagey so ..unhain ungliyo mein lapait kar pahkad rakha thha ,

mera khawab aakar lene laga thha ki ...........aasmani rang ka thhaga khatam ho gaya .......

rang to wahi chahiye ....... aasmani !

Aaj fir baithi hoon baramdeh ki sedhiyo par ..adhura khawab liye ...

fairiwala kabhi to awaaz lagayega ......aasmani rang ka thhaga liye ...........

shabdo ki chhot

Yuon laga jaise kutch aasma se toot kar zameen par gir ...chaknachoor , lahuluhaan hokar , pataal ki gehrayi mein samaa gaya .......

kisi ko uski awaaz nahi aayi ....

Maine usse mehsoos kiya ......

kya shabdo ki chhot itni gehri hoti hai ?

15 september 2003 , train mein likhi ..kya dhondhne nikali hoon ?

Apni MA se door , apni BETI se door ..kya dhoondhne nikali hoon ?

is jag ki diwaron par chhitka hai rang begana sa ,
ek chhota sa aasma jo dil ki zami par basaya hai ,
uske saaye mein baith kar aksar khud se poochha karti hoon,

Apni MA se door , apni BETI se door ..kya dhoondhne nikali hoon ?

aansoon ki ladiya jo aankho ke raste bahar nahi ...
.chupchap mere chhote se aasma ko bheego kar dil ki zami par utarti hain,......unse bhi poochhti hoon ,

Apni MA se door , apni BETI se door ..kya dhoondhne nikali hoon ?

zindagi ki tarah anjaan raasto par bhaagti train se ,
kutch doodate to kutch peeche chhotate pedo so ,
naye raasto ka pataa poochti nazroon se ,
thehre huey chaand se to kabhi ugte huey suraj se ,
kabhi kotuhal kabhi nishchal ........kabhi bhedati to kabhi geedhh drishti se ,
kabhi raakh mein sulagti chingari se ...to kabhi ..lapto mein ghiri muskaan se .....poochha karti hoon ....

Apni MA se door , apni BETI se door ..kya dhoondhne nikali hoon ?

ek kiran mere chhote se aasma se nikali dil ki zami se aansuo ki ladiyo ko piroya ....maine usse bhi poochha....usne kaha ...

Tum dhoondhne nikali ho , apni Ma ke khawabo ki tadbeer aur bunne nikali ho apni bBeti ki Taqdeer |

Sunday, March 28, 2010

Mann kya hai

kanhi padha thha mann koi yudhbhoomi nahi jise chhod kar bhaga ja sakey ...
lekin mann se bhagna kyuon chahti hoon .......mann kya hai ?
dekhti hoon to paati hoon ek tapta hua sa angara ....
kanhi aisa to nahi main khud ko tapaa tapaa kar kundan bana dena chahti hoon .

Monday, March 15, 2010

(1)
Seema kii apni seema hai
Rekha ki apni rekha ..
Dipti ki apni dipti hai …
Kehkansha ki apni kehkansha ……
Magar ……
Sapna ka apna kyuon nahi sapna ?????
Kalpana ki apni kyuon nahi kalpana ??
Muskaan ki kyuon nahi apni muskaan ???

Aaj baithe hain to kyuon na aisa karein …….

Dhara ko de dain uski Zami….
Palak ko de dain uska falak …
Saba ko de dain uski subah …………

(2)
Mere hone par sawaal
Mere wajood par shaq
Meri muskurahat par shhubaha …

Kaleje par pathhar to suna thha ……Magar ..pathharon ka dhair ???

Mere apno zara thehro , thoda kareeb se dekho ..
Mere hone ki zid !!
Mere wajood ki mehak !!
Meri muskurahat ki aanch ….

Pathharon ke dhair ko bana diya hai hawan kund
Chahiye mujhe aahuti ki saamgri

Mere apno do mujhe aur sawaal ..aur shaq ….aur shhubaha …………..

Thursday, February 25, 2010

Achha Hua

......mera wajood kisi talaab ke paani ki tarah bandhh gaya thha
achha hua , waqt ne usme kankad faink kar ehsaas karva diya ki ....aye tujh mein bhi kabhi gati thhi .