Monday, March 15, 2010

(1)
Seema kii apni seema hai
Rekha ki apni rekha ..
Dipti ki apni dipti hai …
Kehkansha ki apni kehkansha ……
Magar ……
Sapna ka apna kyuon nahi sapna ?????
Kalpana ki apni kyuon nahi kalpana ??
Muskaan ki kyuon nahi apni muskaan ???

Aaj baithe hain to kyuon na aisa karein …….

Dhara ko de dain uski Zami….
Palak ko de dain uska falak …
Saba ko de dain uski subah …………

(2)
Mere hone par sawaal
Mere wajood par shaq
Meri muskurahat par shhubaha …

Kaleje par pathhar to suna thha ……Magar ..pathharon ka dhair ???

Mere apno zara thehro , thoda kareeb se dekho ..
Mere hone ki zid !!
Mere wajood ki mehak !!
Meri muskurahat ki aanch ….

Pathharon ke dhair ko bana diya hai hawan kund
Chahiye mujhe aahuti ki saamgri

Mere apno do mujhe aur sawaal ..aur shaq ….aur shhubaha …………..

No comments:

Post a Comment